Page 5

Husn me naaz tha nazakat thi,

Ishq me ehsaas tha sharafat thi,

woh zamana bhi kya zamana tha,

Pyaar karna bhi ek ibaadat thi...

--------------------------------------------

Taras gaye tere didaar ko,

dil phir bhi tere liye dua karta hai.

Hum se acchha to tere ghar ka aaina hai,

jo roj tujhe dekh to liya karta hai.

--------------------------------------------

Dil ki baat janta nai koi,

Kehna in aankhon ka manta nahi koi,

Hum to jaan bhi luta de khushi se,

Par ehmiyat is jaan ki janta nahi koi.

---------------------------------------------------

Chhup Gaye Wo Jakar Kanhi

Shayad Hame Satane Ko Lekin

Ham Unki Yaad Me Bhool Gaye Zamane Ko

Koi Unhe Jakar Ye Bata De Ki Taraste Hai

Ham Unki Ek Jhalak Pane Ko.

-------------------------------------------------

Mohabbat Ki Zanjeer Se Dar Lagta Hai

Kuch Apni Taqdeer Se Dar Lagta Hai

Jo Mujhe TUJ SE" Juda Karti Hai,

Haath Ki Uss Lakeer Se Dar Lagta hai.

-----------------------------------------------

Bas ek tamanna hai ki unse mulakat ho,

bat unse aage badhe aur unka sath ho,

kab tak hum yunhi ek dosre ko dekhte rahenge,

kuch khamoshi tute aur izhar ka agaz ho.

------------------------------------------------------------

Samandar Ki Lehre Hi Rait Ki Lakiro Ko Mitta Deti Hai Hum Nahi Kehte Par Duniya Kehti Hai Hota Hai Jo Apna Preet Usi Ki Yaad Rula Deti Hai.

-------------------------------------------------------

main uski dastaras mein hon,

magar wo mujhe meri raza se maangta hai

kya ahmiyat hai uski is dil mei

kis qadar yeh dil usey chahta hai.

----------------------------------------------

Aaj fir kuch kamihe tere bagair

Narang he na roshni he tere bagair

Waqt apni raftar se chal raha he

Bus dhadkan thami he tere bagair.

-------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment